Friday, March 19, 2010

Mehngai tu kahan se aayi

Posted by Harpreet Singh

Mehngai tu kahan se aayi
Ey mehngai...
Ey mehngai tu kahan se aayi,
kyun janta ke jiwan me aag lagai,
aaj har shaksh hairan hai,
tujhko lekar hi pareshan hai,
fasal to bumper hai,
mehngai fir bhi nirantar hai,
yahi to antar hai,
kisan to mehnati hai,
bicholia hi baimaan hai,
kisan bechara kya kare,
janta bhi kahan mrey,
upar wala bhi pareshan hai,
kyun ki neta hi baimaan hai,
kya yahi "Mera Bharat mahan hai " !

0 comments: