Sunday, March 21, 2010

Paisa paisa hai paisa...

Posted by Harpreet Singh

Paisa paisa hai paisa...
Paisa, paisa, hai paisa, is paise se itna lagav itna pyar hone ke bavjood hum iske baarey me kya jaante hai ? Kuch nahi, maslan yeh kaun hai, kaisa hai, kiska hai, paisa kahan se ata hai, kahan jata hai, inhi kuch sawalo ke jawab agar sahi mayeno me dhudne lagey to shayad ik umar bhi kam pad jaye ! Isi liye shayad yahi vajah hai ki insaan in sawalo ke fer me na pad kar seedhey isko pane ki lalsa man me liye sari zindagi bhagta rehta hai ! Itna hone ke bavjood bhi vo shayad yeh nahi jaanta ki yeh lagav, yeh pyar to bas ek tarfa hai, yeh paisa to kisi ka hua hi nahi, yeh aaj iske pas hai to kal uske pas ! Ek bhanware ki tarah alag-alag tijorion me mandra kar unme se insaniyat aur manavta rupi ras choos kar fir agey bah jata hai !
Kehne ko to yeh dhatu ka ek chota sa sikka ya kagaz ka chota sa tukra hi hai, parantu aaj ke yug me is chotey se kagaz ke tukre ne sari dunia ko hi apni muthi me kar rakha hai ! Manushya ko isne is kadar apna dewana bana ke choda hai ki isko pane ki khatir manushye apni sari maryadayein, sare rishte natey, sab kuch bhool chuka hai ! Yeh is kadar sar chad kar bolta hai ki na to admi ka dilo dimag aur na hi uski zuban hi uske kabu me rehti hai ! Ek tanashah ki tarah yeh manushya jati parraaj kar usey apni ungalion par nacha raha hai ! Isne bhai ko bhai ka dushman bana diya, baap bete ke beech dewarein khadi kar di ! jin rishto me kabhi log jaan chidakte they, aaj unhi rishto me log jaan lene par amada ho gaye sirf is paise ki khatir !
Paise ko hath ki mel bhi kaha jata hai, kyun ki yeh fisalta bahut jaldi hai ! Na to ise koi tijori me band hi rakh saka, aur na hi koi ise bori me rok saka !Yeh us behti hui nadi ke pravah ki tarah hai jo apne raste me ane wale har bade se bade pathar ko bhi baha le jati hai theek usi tarah yeh bhi apne raste me ane wali har cheez chahe vo insaniyat ho ya maryada, pyar ho ya rishta sab ko bade veg ke sath baha le jata hai !
Paisa atyant swabhimani bhi hai, yeh manushya ko kehta hai ki me hu to tumhara parantu apne karam aur apni lagan se yeh sabit kar ke dikhao ki tum bhi mere kabil ho ! jo manushya yeh sabit kar pata hai, uska to yeh sache dost ki tarah pidi dar pidi sath nibhata hai !
Is paise me ek khas baat aur bhi hai, yeh lalach ka janam data hai ! Iske ane se insan ka lalach badta hai ! Yeh jitna bhi aa jaye utna hi kam lagta hai. Ise aur adhik se adhik pane ki lalsa man me uthti rehti hai.Hum jitna hi ise apna banane ki cheshta karte hai utna hi hum iske gulam hote jate hai. yeh hamare andar ki manavta aur prem ko khatam karta jata hai.Yeh hamare dilo dimag hamari soch par is kadar havi ho jata hai ki na to hame apne aur paraye ki pehchan hi rehti hai aur na hi ache burey ka gyan hi rehta hai. Yeh is kadar hamari akal aur soch par parda daal deta hai ki hame sivaye iske kuch aur dikhta hi nahi, ham bhool jate hai ki yeh jiwan jeene ke liye avashyak to hai parantu yahi jeewan nahi hai.
Mana ki aaj ke yug me jiwan jeene ke liye paisa ek atyant mahatavpuran bhumika ada karta hai, lekin iska zarurat se adhik hona bhi manushya ke liye abhishap hai ! Ek seema tak to yeh manushya ka sabse bada hiteshi, bahut acha dost sabit hota hai parantu ek seema ke baad to yeh sabse bada dushman hi lagne lagta hai. Yeh rote hue ko hasane ki takat to rakhta hai lekin ek seema ke baad yeh hanste-khelte pariwar ko kalah aur kalesh ke sagar me bhi dubo deta hai.
So hey laxmi maiya apka swagat hai,
aap aye parantu hame hamare path se na digayein,
hame insaniyat aur bhaichare ka path padayein,
na ki hame ek dusre ka dushman banayein,
hamare beech pyar aur rishto ki ahmiyat ko jagayein,
aur hamari soch ko sahi raah dikhayein,
balak jaan itni kripa kare hey maatey,
de hame aise rishtey jo sada rahe hame bhatey !

0 comments: